Kya Ajab Fart-e-KHushi Se Hai Jo Giryan Aadmi
kya ajab fart-e-KHushi se hai jo giryan aadmi
kasrat-e-gham mein nazar aata hai KHandan aadmi
qatra-e-be-maya lekin bahr-e-na-paida-kanar
zarra-e-nachiz wusat mein bayaban aadmi
pur-sukun haalat mein KHamosh sahil ki tarah
shorish-e-jazbaat mein manind-e-tufan aadmi
is ki wahshat ka mudawa kar nahin sakta koi
KHud agar chahe to ban sakta hai insan aadmi
aadamiyat agle waqton mein thi ek anmol shai
aaj ke haalat mein hai jins-e-arzan aadmi
zindagi ki saKHt rahon ka safar darpesh hai
karwan-dar-karwan hai pa-ba-jaulan aadmi
apne zaKHmon ka mudawa ghair mumkin to nahin
ai 'hazin' sare dukhon ka KHud hai darman aadmi
(860) Peoples Rate This