Hazaron Gham Hain Lekin Bar-e-gham Dil Par Na Rakkhunga
hazaron gham hain lekin bar-e-gham dil par na rakkhunga
ye nazuk aabgina us pe main patthar na rakkhunga
wo mausam wo faza wo saaten tere bichhaDne ki
main apne zehn mein mazi ke pas-manzar na rakkhunga
koi maskan na hoga ab meri be-KHwab raaton ka
main apne dushmanon ke beach apna ghar na rakkhunga
chalunga sath apne karwan-e-sarKHushi le kar
jilau mein ab gham-e-andoh ka lashkar na rakkhunga
mera kya hai mujhe kanTon pe so lene ki aadat hai
masaf-e-zindagi mein baalish-o-bistar na rakkhunga
bahut mohtat rahne par bhi akasr bhig jata hai
main koshish lakh karta hun ki daman tar na rakkhunga
baja hai ai 'hazin' mujrim hun na-karda gunahi ka
magar ilzam jine ka main apne sar na rakkhunga
(1017) Peoples Rate This