Barpa Hain Ajab Shorishen Jazbaat Ke Pichhe

barpa hain ajab shorishen jazbaat ke pichhe

be-tab hai dil shauq-e-mulaqat ke pichhe

jin ko na samajh pae hum arbab-e-nazar bhi

sau raaz hain us shoKH ki har baat ke pichhe

is Thos haqiqat se tarruz nahin mumkin

ek subh-e-tajalli hai har ek raat ke pichhe

arbab-e-watan hum ko zara ye to bataen

kin zehnon ki sazish hai fasadat ke pichhe

manzar hai lahu-rang sulagti hain fazaen

shoalon ka wo sailab hai barsat ke pichhe

hum un ko samajhte hain 'hazin' kah nahin sakte

asbab jo hain talKHi-e-haalat ke pichhe

(1717) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barpa Hain Ajab Shorishen Jazbaat Ke Pichhe In English By Famous Poet Junaid Hazin Lari. Barpa Hain Ajab Shorishen Jazbaat Ke Pichhe is written by Junaid Hazin Lari. Read famous Poem Barpa Hain Ajab Shorishen Jazbaat Ke Pichhe for youth and Student by Junaid Hazin Lari. Free Download Barpa Hain Ajab Shorishen Jazbaat Ke Pichhe in PDF.