Humne To Bain Mein Nauhe Mein Adakari Ki
hum ne to bain mein nauhe mein sadakari ki
aaj dafna di hai mayyat bhi rawa-dari ki
hum se bad-tar koi fankar jahan mein hoga
hum ada-kariyan karte hain adakari ki
hum ne ghairat ka baghawat ka alapa dipak
tan unchi hai magar aaj bhi darbari ki
hum ko sae se bhi shahon ke bacha kar rakhna
hum pe aa jae na tohmat bhi taraf-dari ki
wo na manenge ki ye ain KHata hai un ki
wo jo yari ko bhi kahte hain ki ayyari ki
hum to anjaan the is ghar mein hamara kya tha
tum to timsal the duniya mein samajhdari ki
jin se uThti thin siyah aag ki lapTen har dam
hum ne aisi bhi zaminon mein shajar-kari ki
tum ko sote mein bhi kab aankh uTha kar dekha
hum ne KHwabon mein bhi aaankhon ki nigah-dari ki
(1078) Peoples Rate This