Aks-e-KHayal-e-yar Sanwara Karenge Hum
aks-e-KHayal-e-yar sanwara karenge hum
shishe mein aaine ko utara karenge hum
sahra mein e'timad ke gum-sum samaaten
kuchh log kah rahe the pukara karenge hum
gardan kaTi hai hath bhi shanon se kaT gae
qatil ki samt kaise ishaara karenge hum
mere KHilaf wo bhi samundar se mil gae
dariya to kah rahe the kinara karenge hum
chadar se jab na chhup saka sukDa hua badan
khul kar ab apne panw pasara karenge hum
sanson ki tarah ye bhi hain jine ko lazmi
choTen jo dab chuki hain ubhaara karenge hum
'aKHtar' hon jab sitare sabhi aasman par
phir kyun kisi zamin pe guzara karenge hum
(1226) Peoples Rate This