Zindagi Maut Ke Aaghosh Se Paida Karna
zindagi maut ke aaghosh se paida karna
Dub kar bahr mein tufan se khela karna
aae rona bhi to hansne ka irada karna
josh-e-gham mein na kabhi zabt se guzra karna
dekhna shauq ki fitrat ko na ruswa karna
chashm-e-mushtaq yunhi un ka nazara karna
rang laega ajab jalwa-gah-e-mahshar mein
zauq-e-didar mera aap ka parda karna
mauj-e-fitrat ka har andaz hai taKHrib-shiar
ai chaman-zar bahaaron se na rishta karna
bahut aasan tha rabbi-arini kah dena
koi aasan na tha jalwon ka nazara karna
chaak-damani-e-gul bar-sar-e-meraj-e-bahaar
hai junun-KHez ada hosh ka dawa karna
sikhiye uqda-kushai ki adaen 'jumbish'
na hua kuchh bhi ye taqdir ka shikwa karna
(1021) Peoples Rate This