Sukun Paya Tabiat Ne Na Dil Ko Hi Qarar Aaya
sukun paya tabiat ne na dil ko hi qarar aaya
jo aansu aankh mein aaya baDa be-e'tibar aaya
kisi ka bankpan sare zamane mein pukar aaya
chamak aankhon mein aai nok-e-mizhgan par nikhaar aaya
muqaddar apna apna hai gul-o-shabnam ki wadi mein
koi hansta hua aaya to koi ashk-bar aaya
mujhe kya wasta hai aap ke husn-e-taKHyyul se
meri aankhon pe jab aaya mere KHwabon ko pyar aaya
teri be-iltifati ko KHuda rakhe ki ai saqi
sharab-e-gham se hum tishna-labon par bhi KHumar aaya
hue hain rang-o-bu dast-o-gareban aise gulshan mein
nasim-e-subh ka daman bhi ho kar tar tar aaya
dhuan jo be-kason ki aah ka uTTha to ai 'jumbish'
chaman wale pukar uTThe ki wo abr-e-bahaar aaya
(1052) Peoples Rate This