Soe Hue Zehnon Mein Nadida Sawera Hai
soe hue zehnon mein nadida sawera hai
suraj ke bhi ugne par har samt andhera hai
afsurda dilon mein bhi armanon ka Dera hai
sukhi hui shaKHon par chiDiyon ka basera hai
main saf-tabiat hun kuchh dil mein nahin rakhta
kya soch ke munh tum ne aaine se phera hai
jaen to kidhar jaen bahke hue manzil se
dhupen bhi ghaneri hain saya bhi ghanera hai
'jumbish' koi aa jae is waqt KHayalon mein
tanhai ka aalam hai ehsas ne ghera hai
(738) Peoples Rate This