Sambhal Kar Aah Bharna Ai Asir-e-dam-e-tanhai
sambhal kar aah bharna ai asir-e-dam-e-tanhai
kahin hathon se chhuT jae na daman-e-shakebai
ajab andaz rakhti hai ada-e-dasht-paimai
ki KHud hi KHar baDh kar chumte hain pa-e-saudai
jo rang-e-husn-e-KHamoshi hai wo khoti hai goyai
hua jab lab-kusha ghuncha to bahar bu nikal aai
abhi to bas tasawwur hai tumhaare aastane ka
abhi dekha kahan tum ne mera zauq-e-jabin-sai
kuchh is andaz se chheDa nigah-e-naz-e-jaanan ne
ki rah rah kar hamare dil ke zaKHmon ko hansi aai
rahe inkar mein iqrar ka eajaz bhi pinhan
karo KHun-e-wafa lekin ba-andaz-e-masihai
araq-agin jabin insaniyat ki ho gai 'jumbish'
ki daur aaya hai wo sharm-o-haya ki aankh bhar aai
(959) Peoples Rate This