KHamushi Hi KHamushi Mein Dastan Banta Gaya
KHamushi hi KHamushi mein dastan banta gaya
mera har aansu mere gham ki zaban banta gaya
aap ka gham jab sharik-e-qalb-o-jaan banta gaya
ashk ka har qatra bahr-e-be-karan banta gaya
zulm TuTa hi kiye qaem rahi shan-e-amal
bijliyan girti rahin aur aashiyan banta gaya
dhire dhire yaad un ki dil mein ghar karti rahi
rafta rafta ishq un ka juzw-e-jaan banta gaya
meri hasti bhi tere jalwon mein gum hoti gai
tera jalwa bhi farogh-e-la-makan banta gaya
rang laya is qadar zauq-e-jabin-e-bandagi
har nishan-e-sajda tera aastan banta gaya
jab tak ai 'jumbish' rahe wo mail-e-lutf-o-karam
har nafas ek zindagi-e-jawidan banta gaya
(874) Peoples Rate This