Gham-ha-e-mohabbat Ka Asar Dekh Raha Hun
gham-ha-e-mohabbat ka asar dekh raha hun
bikhre hue daman pe guhar dekh raha hun
ai husn-e-ruKH-e-yar jidhar dekh raha hun
ek hasb-e-taKHayyul o nazar dekh raha hun
ek nur ki duniya hai meri shauq ki manzil
har zarre ko KHurshid-e-nazar dekh raha hun
tum aur abhi husn ke pardon ko uThao
main aaj had-e-tab-e-nazar dekh raha hun
har aah sharar-KHez hai murghan-e-qafas ki
daman-e-fughan shoala-asar dekh raha hun
yun kakul-o-ruKH apne tasawwur mein hain 'jumbish'
ek marhala-e-sham-o-sahar dekh raha hun
(841) Peoples Rate This