Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a30e4e0e5e12e8abc1786b7f447c2721, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Us Kamar Ke KHayal Mein Hain Hum - Joshish Azimabadi Poetry In English - Darsaal

Us Kamar Ke KHayal Mein Hain Hum

us kamar ke KHayal mein hain hum

baiThe karte hain sair-e-mulk-e-adam

be-KHudi hum pe rakhiyo lutf-o-karam

apne tain bhul jaen jab tak hum

kyun gunahgar ho na nau-e-bashar

pahle hi chuke hazrat-e-adam

aah is bahr mein habab ki tarah

apni bhi zindagi hai koi dam

di hai dhuni dar-e-tawakkul par

chhoD di hum ne minnat-e-alam

dekhne bhi na pae qatil ko

zaKHm itne hi lag gae paiham

nil-gun kyun na ho hisar-e-rang

hai siyah-posh KHana-e-matam

lutf hota jo aish mein 'joshish'

chhoD deta na saltanat adham

(1502) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Kamar Ke KHayal Mein Hain Hum In English By Famous Poet Joshish Azimabadi. Us Kamar Ke KHayal Mein Hain Hum is written by Joshish Azimabadi. Read famous Poem Us Kamar Ke KHayal Mein Hain Hum for youth and Student by Joshish Azimabadi. Free Download Us Kamar Ke KHayal Mein Hain Hum in PDF.