Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_90b972bc9a5ffd6f2f789c651856aaa4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tujhse Hi Kya Wafa Ki Nahin KHush-nigah Chashm - Joshish Azimabadi Poetry In English - Darsaal

Tujhse Hi Kya Wafa Ki Nahin KHush-nigah Chashm

tujh se hi kya wafa ki nahin KHush-nigah chashm

jitne safed-posh hain sab hain siyah-chashm

us mehr-wash ke hone na de girya ru-ba-ru

jab tak safed howe na manind-e-mah chashm

andher hai dayar-e-mohabbat mein ham-daman

taqsir dil ki Thahre kare jo gunah chashm

donon makan ghair se KHali hain aa ke baiTh

tere pasand KHwah ye dil aae KHwah chashm

us ki shab-e-firaq mein itna tu ro ki ho

dariya-e-ashk mein teri kashti tabah chashm

mujh ko jala ke KHak kya aur baha diya

tum se to ye na thi mujhe ai ashk-o-ah chashm

'joshish' wo kaun sa hai jafa-kar jis par aaj

munh par lahu male hue hai dad-KHwah chashm

(875) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujhse Hi Kya Wafa Ki Nahin KHush-nigah Chashm In English By Famous Poet Joshish Azimabadi. Tujhse Hi Kya Wafa Ki Nahin KHush-nigah Chashm is written by Joshish Azimabadi. Read famous Poem Tujhse Hi Kya Wafa Ki Nahin KHush-nigah Chashm for youth and Student by Joshish Azimabadi. Free Download Tujhse Hi Kya Wafa Ki Nahin KHush-nigah Chashm in PDF.