Jala Bala Hun Giraftar-e-haal Apna Hun
jala bala hun giraftar-e-haal apna hun
ba-rang-e-shama sarapa wabaal apna hun
is ashk-e-surKH o ruKH-e-zard se samajh le tu
bayan kya karun KHud arz-e-haal apna hun
qarar pakDe mere dil mein kab kisi ki shakl
ba-rang-e-aina mahw-e-jamal apna hun
na mahtab hun ne aaftab hun ya-rab
ye kya sabab hai ki aaphi zawal apna hun
jahan-e-KHwab-e-tamasha jahan ka sab KHwab
KHayal KHub kiya to KHayal apna hun
ba-rang-e-naqsh-e-qadam main paDa hun dar pe tere
na paemal kar ai naunihaal apna hun
rah-e-suluk mein 'joshish' kisi ka mazra-e-dil
jo paemal karun paemal apna hun
(820) Peoples Rate This