Hum Hi Karte Nahin Zulfon Ko Teri Haar Pasand
hum hi karte nahin zulfon ko teri haar pasand
shaiKH sahib ko bhi aata hai ye zunnar pasand
sabza-e-KHat rahe us chehra-e-gul-rang se dur
zaKHm-e-dil ko nahin ye marham-e-zangar pasand
jaun kabe ko main kis tarah se ai waiz-e-shahr
aa gaya mujh ko to ab KHana-e-KHummar pasand
go ki sau rang gulistan mein dikhlae bahaar
na karen gul ko tere talib-e-didar pasand
jo koi dard se Tuk chashni rakhta hoga
usi ko aaenge 'joshish' mere ashaar pasand
(774) Peoples Rate This