Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3fe32272a9dbf1ac6ca0b3e0d9be17c1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har-chand Ki Dekhe Hai Wo Pyar Ki Aankhon Se - Joshish Azimabadi Poetry In English - Darsaal

Har-chand Ki Dekhe Hai Wo Pyar Ki Aankhon Se

har-chand ki dekhe hai wo pyar ki aankhon se

par nikle hai be-rangi us par ki aankhon se

shiddat se laga hansne ahwal pe gar mere

aansu bhi kabhi Tapke makkar ki aankhon se

be-taqati-e-dil ka kya sharh-o-bayan kijiye

bimari numayan hai bimar ki aankhon se

hai tegh-e-nigah khinche shamshir-ba-kaf mizhgan

ab jite nahin bachte KHun-KHar ki aankhon se

lakhon hi ki aankhon se aankhon teri behtar hain

kya achchhi hain ai pyase wo chaar ki aankhon se

mat ahl-e-dilon se kar ham-chashmi ai aaine

ghafil na mila aankhen bedar ki aankhon se

har tarah se dekha wo dekh hi leta hai

tayyari kare kya koi ayyar ki aankhon se

itni bhi rasai ho 'joshish' to ghanimat hai

KHak-e-kaf-e-pa maliye dil-dar ki aankhon se

(812) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har-chand Ki Dekhe Hai Wo Pyar Ki Aankhon Se In English By Famous Poet Joshish Azimabadi. Har-chand Ki Dekhe Hai Wo Pyar Ki Aankhon Se is written by Joshish Azimabadi. Read famous Poem Har-chand Ki Dekhe Hai Wo Pyar Ki Aankhon Se for youth and Student by Joshish Azimabadi. Free Download Har-chand Ki Dekhe Hai Wo Pyar Ki Aankhon Se in PDF.