Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0c1abb414051b11035019d399c9ec149, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hai Aaftab Aur Mere Dil Ka Dagh Ek - Joshish Azimabadi Poetry In English - Darsaal

Hai Aaftab Aur Mere Dil Ka Dagh Ek

hai aaftab aur mere dil ka dagh ek

dekha to bazm-e-ishq mein hai ye charagh ek

wahdat hi se zuhur hai kasrat ka dekh le

hain phul sau tarah ke wa-lekin hai bagh ek

jis din se wo KHayal mein teri kamar ke hai

anqa ka aur dil ka mere hai suragh ek

insaf se baid hai saqi-e-rozgar

auron ko jam saikDon mujh ko ayagh ek

laen kahan se teri si fikr-e-buland hum

'joshish' nahin har ek ka dil aur dimagh ek

(868) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Aaftab Aur Mere Dil Ka Dagh Ek In English By Famous Poet Joshish Azimabadi. Hai Aaftab Aur Mere Dil Ka Dagh Ek is written by Joshish Azimabadi. Read famous Poem Hai Aaftab Aur Mere Dil Ka Dagh Ek for youth and Student by Joshish Azimabadi. Free Download Hai Aaftab Aur Mere Dil Ka Dagh Ek in PDF.