Diwana Hun Mujhe Na Tasahul Se Bandhiye
diwana hun mujhe na tasahul se bandhiye
hathon ko KHub rishta-e-kakul se bandhiye
ahl-e-chaman ko itna pareshan na kijiye
bikhre hue ye baal hain sumbul se bandhiye
hargiz na hojiye kas-o-na-kas se multaji
is gham-kade mein dhyan tawakkul se bandhiye
ye KHub jaanta hun kasi ko karoge qatl
KHanjar kamar mein aap tajahul se bandhiye
is gulshan-e-jahan mein bad-ahd hain sabhi
bulbul yahan na ahd kisi gul se bandhiye
ahwal ek hai dil-e-wahshat-sarisht ka
ya juz se bandhiye ise ya kul se bandhiye
'joshish' tu is tarah ki zaminon mein yaad rakh
mazmun jo bandhiye so tammul se bandhiye
(842) Peoples Rate This