Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a3bbc3e2598cecc2e7b79cbe9a81ae24, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
ChhoDiye Kis Tarah Se Mai-noshi - Joshish Azimabadi Poetry In English - Darsaal

ChhoDiye Kis Tarah Se Mai-noshi

chhoDiye kis tarah se mai-noshi

zor-e-alam rakhe hai be-hoshi

ek nazar us ko dekhne paen

go mayassar na ho ham-aghoshi

qaid karna kisi ko hai manzur

zulf karti hai tujh se sargoshi

hun main sar-gashta misl-e-reg-e-rawan

kya kahun apni KHana-bardoshi

wasf mein us dahan ke ai 'joshish'

hum ne ki iKHtiyar KHamoshi

(947) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ChhoDiye Kis Tarah Se Mai-noshi In English By Famous Poet Joshish Azimabadi. ChhoDiye Kis Tarah Se Mai-noshi is written by Joshish Azimabadi. Read famous Poem ChhoDiye Kis Tarah Se Mai-noshi for youth and Student by Joshish Azimabadi. Free Download ChhoDiye Kis Tarah Se Mai-noshi in PDF.