Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_09fa14b232e7f853d98e4caf172eeb10, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Chashm Se Ghafil Na Hua Chahiye - Joshish Azimabadi Poetry In English - Darsaal

Chashm Se Ghafil Na Hua Chahiye

chashm se ghafil na hua chahiye

us ke muqabil na hua chahiye

dil ka zarar jaan ka nuqsan hai

ab kahin mail na hua chahiye

hai but-e-KHun-KHar bahut tund-KHu

bosa ke sail na hua chahiye

aql ko dil chhoD rah-e-ishq mein

hamrah-e-kahil na hua chahiye

roz tanazzul mein hai mah-e-tamam

dahr mein kaamil na hua chahiye

yar kamar bandhiye insaf par

bar-sar-e-baatil na hua chahiye

qatl ke qabil hai ye 'joshish' tera

ghair ke qatil na hua chahiye

(708) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Chashm Se Ghafil Na Hua Chahiye In English By Famous Poet Joshish Azimabadi. Chashm Se Ghafil Na Hua Chahiye is written by Joshish Azimabadi. Read famous Poem Chashm Se Ghafil Na Hua Chahiye for youth and Student by Joshish Azimabadi. Free Download Chashm Se Ghafil Na Hua Chahiye in PDF.