Ye Daur-e-KHirad Hai Daur-e-junun Is Daur Mein Jina Mushkil Hai
ye daur-e-KHirad hai daur-e-junun is daur mein jina mushkil hai
angur ki mai ke dhoke mein zahrab ka pina mushkil hai
jab naKHun-e-wahshat chalte the roke se kisi ke ruk na sake
ek chaak-e-dil-e-insaniyat site hain to sina mushkil hai
ek sabr ke ghunT se miT jati sab tishna-labon ki tishna-labi
kam-zarfi-e-duniya ke sadqe ye ghunT bhi pina mushkil hai
wo shoala nahin jo bujh jae aandhi ke ek hi jhonke se
bujhne ka saliqa aasan hai jalne ka qarina mushkil hai
karne ko rafu kar hi lenge duniya wale sab zaKHm apne
jo zaKHm dil-e-insan pe laga us zaKHm ka sina mushkil hai
wo mard nahin jo Dar jae mahaul ke KHunin manzar se
us haal mein jina lazim hai jis haal mein jina mushkil hai
milne ko milega bil-aKHir ai 'arsh' sukun-e-sahil bhi
tufan-e-hawadis se lekin bach jae safina mushkil hai
(13371) Peoples Rate This