Teri Yaad Mein Kab Qayamat Na TuTi Tere Gham Mein Kab Hashr Barpa Na Dekha
teri yaad mein kab qayamat na TuTi tere gham mein kab hashr barpa na dekha
ba-juz ek nigah-e-masiha-nafas ke mohabbat ke maron ne kya kya na dekha
bahut sair ki bagh-e-jannat ki hum ne magar kuchh maza zindagi ka na dekha
kisi dil mein dard-e-mohabbat na paya kisi dil mein dagh-e-tamanna na dekha
bahut mard-e-maidan bhi duniya mein dekhe shujaat pe nazan bhi duniya mein dekhe
magar choT sah jae tir-e-nazar ki ye dil ye kaleja kisi ka na dekha
yahi hai nazara to kya hai nazara na shan-e-jamali na shan-e-jalali
ye dhundla sa partaw ye mastur jalwa barabar hai hum ko to dekha na dekha
junun-e-mohabbat mein diwangi mein teri be-ruKHi ka bhi main qadr-dan hun
baDa tu ne ehsan mujh par kiya ye tamasha bana kar tamasha na dekha
tere aastan ka pata kis se paen kare rahbari kaun bhaTke huon ki
ye rah-e-talab hai ki rah-e-adam hai kisi ka bhi naqsh-e-kaf-e-pa na dekha
mohabbat kahan ye to bechaargi hai sitam bhi sahen phir karam is ko samjhen
ye jabr is liye kar liya hai gawara ki is ke siwa koi chaara na dekha
niyaz-e-mohabbat se ye be-niyazi KHulus-e-mohabbat se itna taghaful
mera dard tum ne mera haal tum ne na jaana na samjha na puchha na dekha
tumhein 'josh' hum KHub pahchante hain tumhaari bala-noshiyan jaante hain
kahan tum kahan parsai ka jama kabhi hum ne aisa dikhawa na dekha
(1066) Peoples Rate This