Shash-jihat Aapko Aaenge Nazar Do-baTa-tin
shash-jihat aap ko aaenge nazar do-baTa-tin
chhe-baTa-nau ke barabar hai agar do-baTa-tin
do khilaune jo kabhi hum ne tipai pe dhare
aa gae saf muhandis ko nazar do-baTa-tin
talib-e-KHair na honge kabhi insan se hum
nam us ka hai bashar us mein hai shar do-baTa-tin
munhasir quwwat-e-bazu pe hai daulat-mandi
dekh lo zor mein maujud hai zar do-baTa-tin
malak-ul-maut se duniya mein hirasan nahin kaun
jis ko kahte hain niDar us mein hai Dar do-baTa-tin
biswin raat mahine ki jab aa jati hai
gham mein rah jata hai ghul ghul ke qamar do-baTa-tin
zalimo KHauf karo aah ko samjho na haqir
lafz-e-allah mein hai is ka asar do-baTa-tin
khoTi manzil kiye deti hai teri yaad nadim
rah-rau ka abhi baqi hai safar do-baTa-tin
do-baTa-tin ki rakkhi hai jo ai 'josh' radif
sher bhi nikle hain maqbul-e-nazar do-baTa-tin
(1662) Peoples Rate This