Raha Pesh-e-nazar Hasrat Ka Bab Awwal Se AaKHir Tak
raha pesh-e-nazar hasrat ka bab awwal se aaKHir tak
paDhi kis ne mohabbat ki kitab awwal se aaKHir tak
ishaara tak na likkha koi us ne rabt-e-baham ka
bahut be-rabt hai KHat ka jawab awwal se aaKHir tak
mayassar KHak hota zindagi mein lutf-e-tanhai
rahe do do farishte ham-rikab awwal se aaKHir tak
KHushi mein bhi mohabbat dushman-e-sabr-o-sakun nikli
raha dil mein wahi ek iztirab awwal se aaKHir tak
ghalat-koshi ki aadat ne asar paida kiya aisa
ghalat nikla gunahon ka hisab awwal se aaKHir tak
mujhe le aai hai umr-e-rawan kin KHarzaron mein
hua hai chaak daman-e-shabab awwal se aaKHir tak
majal-e-guftugu pai to ab kyun mohr-bar-lab hai
suna de o dil-e-ghaflat-maab awwal se aaKHir tak
andhere mein talash-e-dil agar hoti to kya hoti
shab-e-tarik tha daur-e-shabab awwal se aaKHir tak
dahan-e-zaKHm se bhi 'josh' haal-e-dil suna dekha
namak-pashi hi tha un ka jawab awwal se aaKHir tak
(1003) Peoples Rate This