Nala-e-jaan-gudaz Ne Mara
nala-e-jaan-gudaz ne mara
soz-e-ulfat ke saz ne mara
ye kaha paDh ke mera nama-e-shauq
us sarapa niyaz ne mara
munh se uff bhi to kar nahin sakte
KHauf-e-ifsha-e-raaz ne mara
zindagi chain se guzarti thi
chashm-e-nazzara-baz ne mara
dad bhi shauq-e-did ki na mili
jalwa-e-be-niyaz ne mara
maut ki zad se bach gaya jo koi
us ko umr-e-daraaz ne mara
ungliyan har taraf se uThti hain
turra-e-imtiyaz ne mara
koi dam-saz koi hai jaan-baz
aap ke saz-baz ne mara
jis ke qabze mein hai masihai
hum ko is tegh-e-naz ne mara
kya bharosa kisi pe ho ai 'josh'
dil ko ek dil-nawaz ne mara
(933) Peoples Rate This