Maut Ki Zad Ka KHatar Har Fard Ko Har Ghar Mein Hai
maut ki zad ka KHatar har fard ko har ghar mein hai
ye baDa ek aib ai duniya teri chausar mein hai
manzil-e-maqsud par pahunche to pahunche kis tarah
DhunDne wala umid-o-bim ke chakkar mein hai
shaiKH se kuchh zid nahin hai barhaman se kad nahin
dair o kaba donon ka jauhar mere saghar mein hai
fikr-e-imroz o gham-e-farda sarasar be-mahal
tu agar ghar mein hai to sab kuchh hamare ghar mein hai
dam-ba-KHud fitne hain un ki shoKHi-e-raftar se
ek sannaTe ka aalam arsa-e-mahshar mein hai
meri hi rudad-e-wahshat sun ke fariyaadi hain sab
chaak mere hi jigar ka daman-e-mahshar mein hai
naqsh-e-ulfat miT gaya to dagh-e-ulfat hain bahut
shukr kar ai dil ki tere ghar ki daulat ghar mein hai
is se kya matlab ki hai kis kis ke dil mein shauq-e-qatl
dekhna ye hai ki dam kitna tere KHanjar mein hai
silsila aawargi ka fahm se bahar hai 'josh'
main bhi chakkar mein hun meri aql bhi chakkar mein hai
(1019) Peoples Rate This