Masrur Dil-e-zar Kabhi Ho Nahin Sakta
masrur dil-e-zar kabhi ho nahin sakta
yani tera didar kabhi ho nahin sakta
main ghair-e-wafadar kabhi ho nahin sakta
is se tumhein inkar kabhi ho nahin sakta
ab lutf-o-karam par bhi bharosa nahin us ko
achchha tera bimar kabhi ho nahin sakta
use shaiKH agar KHuld ki tarif yahi hai
main is ka talabgar kabhi ho nahin sakta
aamal ki pursish na kare dawar-e-mahshar
majbur to muKHtar kabhi ho nahin sakta
mumkin hai farishton se koi sahw hua ho
main itna gunahgar kabhi ho nahin sakta
aazar-e-mohabbat hai aur aazar hai ai 'josh'
jo bais-e-azar kabhi ho nahin sakta
(886) Peoples Rate This