Jitne The Tere Jalwe Sab Ban Gae But-KHane
jitne the tere jalwe sab ban gae but-KHane
ab chashm-e-tamashai kyun kar tujhe pahchane
asrar haqiqat ke samjhe nahin farzane
taqsir to thi un ki mare gae diwane
mastan-e-mohabbat ne duniya mein yahi dekha
TuTe hue paimane TuTe hue mai-KHane
phulon ki hansi se bhi dil jin ka nahin khilta
un ko bhi hansate hain hanste hue paimane
wo haal sunaun kya jo ghair-mukammal hai
ab tak ki to main jaanun aage ki KHuda jaane
jhagDa na kabhi uThta tu-tu na kabhi hoti
kuchh shaiKH hai diwana kuchh rind hain diwane
wo mujh pe karam-farma hoga ki nahin hoga
ya us ko KHuda jaane ya meri qaza jaane
hum kahte rahe jab tak rudad mohabbat ki
hanste rahe farzane rote rahe diwane
samjha tha jinhen apna jab un ki rawish ye hai
auron ki shikayat kya begane to begane
wahshat to nahin mujh ko ai 'josh' magar phir bhi
yaad aate hain rah rah kar chhoDe hue virane
(1972) Peoples Rate This