Aag Hai Aag Teri Tegh-e-ada Ka Pani
aag hai aag teri tegh-e-ada ka pani
aise pani ko main hargiz na kahunga pani
na rahe aankh mein bhi dil se nikal kar aansu
ja-ba-ja un ko liye phirta hai dana pani
haal puchho na mere girya-e-gham ka mujh se
us ke kahne se bhi hota hai kaleja pani
soz-e-gham hi se meri aankh mein aansu aae
sochta hun ki ise aag kahun ya pani
tark-e-mai-KHana gawara na karunga hargiz
ras hai meri tabiat ko yahan ka pani
kar diya sab ko tere tir-e-nazar ne sairab
jis ke sine pe laga us ne na manga pani
aish dam bhar ka bhi dekha nahin jata us se
charKH-e-kam-baKHt ki aankhon mein na utra pani
tere hi jalwe se hai bagh-e-tamanna ki bahaar
yahi tanwir hai aaina-dil ka pani
KHalish-e-gham se kiye jaun kahan tak nale
meri qismat mein to har roz ye iza pani
Dub jate hain umidon ke safine is mein
main na manunga ki aansu hai zara sa pani
zabt-e-girya se baDhi aur musibat ai 'josh'
dil ye kahta hai ki ab sar se hai uncha pani
(1017) Peoples Rate This