Zaifa
ek zaifa raste mein so rahi hai KHak par
murdani chhai hui hai chehra-e-ghamnak par
aur kis mausam mein jab taun hai phaila hua
zarra zarra hai waba ke KHauf se simTa hua
raat aadhi aa chuki hai baam-o-dar KHamosh hain
ahl-e-daulat laila-e-ishrat se ham-aghosh hain
is qayamat ki hai tari zulmat-e-haul-afrin
shab ke dil mein subh ka goya tasawwur tak nahin
pichhe pichhe aa raha hai kaun ye kya baat hai
baj rahe hain kan uff kaisi bhayanak raat hai
halqa-e-zulmat mein hai rahon ki sahmi raushni
ya chamakti hain ghani jhaDi se aankhen sher ki
larza-bar-andam hai sehn-e-zamin ka arz-o-tul
ho raha hai KHak par napak ruhon ka nuzul
aa rahi hain aasman se ye sadaen dam-ba-dam
dekh asbab-e-halakat par na paD jae qadam
baam-o-dar par maut ka parcham hai lahraya hua
aa rahi hai har qadam par bu-e-anfas-e-waba
raungTe sare khaDe hain sans lena hai wabaal
al-aman shor-e-sagan-e-rah o ghogha-e-shaghaal
uf larazti KHaufnak aawaz chaukidar ki
nabz chhuTi ja rahi hai gumbad-e-dawwar ki
chupke chupke sans lene se ghuTa jata hai dam
rakh raha hun bolte zarron pe ruk ruk kar qadam
ibrat o dahshat ka KHanjar hai dil-e-ghamnak par
hae ye be-dam paDa hai kaun ThanDi KHak par
aah ai be-kas zaifa gham ki taDpai hui
ai zamane ki jhinjhoDi zar ki Thukrai hui
mere dil ke aaine ko kar raha hai chur chur
tere sar par rahguzar ki shama ka halka sa nur
ye tere sar ki safedi aur ye gard-e-malal
mein to kya sharma raha hai KHud KHuda-e-zul-jalal
bhuk ke lashkar ka hai ruKH par tere gard-o-ghubar
ahd-e-razzaqi ke mathe par araq hai aashkar
tere bachche tere gardun ke sitare kya hue
ai zaifa teri piri ke sahaare kya hue
aah ai dukhiya ye kaisi paemali ho gai
Thokaren khane ko teri god KHali ho gai
so raha hai tera waris kis taraf pahne kafan
dafn hai kis des mein tera urusi bankpan
bazm-e-ishrat mein dulhan kis ne banaya tha tujhe
byah kar kaun apne ghar mein aah laya tha tujhe
KHun ruKH par dauDta hoga teri aawaz se
tujh ko pala hoga teri man ne kis kis naz se
Dalti hogi tujhe nahla-dhula kar sar mein tel
bap ka dil khinchta hoga teri guDiyon ka khel
pas ki tasir kyun chehre pe duni ho gai
maika viran hua sasural suni ho gai
chahne wale tere sab turbaton mein so gae
khelti thi jin ghane baghon mein wo kya ho gae
uf-ri mayusi kisi ka aasra rakhti nahin
shubah hota hai ki tu shayad KHuda rakhti nahin
tu kahan ki rahne wali hai tera kya nam hai
bol tu kis dil-nashin aaghaz ka anjam hai
hind mein insaniyat ka daur hi baqi nahin
dard ho kis tarah koi mard hi baqi nahin
mard hi hote to karte bekason ka ehtiram
mard hi hote to rah sakte the yun ban kar ghulam
KHidmat-e-aghyar se fursat koi pata nahin
sach hai apnon par ghulamon ko taras aata nahin
ai zaifa nang hai tu mulk-o-millat ke liye
tu hai ek dhabba jabin-e-ahl-e-daulat ke liye
ek khuli zillat hai adyan-o-milal ke waste
tauq hai lanat ka tu ahl-e-duwal ke waste
to waid-e-qahr hai arbab-e-ishrat ke liye
bars ka ek dagh hai ru-e-hukumat ke liye
mujh ko hairat hai ki tujh ko dekh kar zar-o-nizar
gaD nahin jate haya se hakiman-e-zi-waqar
dekh kar tera Dhala manka nahin hota hai chur
gardanon ke KHam ko saKHti baKHshne wala ghurur
paD nahin jate ilahi sina-e-daulat mein dagh
bujh nahin jate shabistan-e-imarat ke charagh
apni tab-e-zar se ai sarmaya-daro! hoshiyar
apne tajon ki chamak se taj-daro hoshiyar
nilam-o-yaqut se shole bhaDak uThne ko hain
surKH dinaron mein angare dahak uThne ko hain
farsh-e-gul walo zamin par log mahw-e-KHwab hain
KHirmanon ke pasbanon bijliyan betab hain!!
(1597) Peoples Rate This