East India Company Ke Farzandon Se KHitab
kis zaban se kah rahe ho aaj tum saudagaro
dahr mein insaniyat ke nam ko uncha karo
jis ko sab kahte hain hitler bheDiya hai bheDiya
bheDiye ko mar do goli pae-amn-o-baqa
bagh-e-insani mein chalne hi pe hai baad-e-KHizan
aadamiyyat le rahi hai hichkiyon par hichkiyan
hath hai hitler ka raKHsh-e-KHud-sari ki bag par
tegh ka pani chhiDak do germany ki aag par
saKHt hairan hun ki mahfil mein tumhaari aur ye zikr
nau-e-insani ke mustaqbil ki ab karte ho fikr
jab yahan aae the tum saudagari ke waste
nau-e-insani ke mustaqbil se kiya waqif na the
hindiyon ke jism mein kya ruh-e-azadi na thi
sach batao kya wo insanon ki aabaadi na thi
apne zulm-e-be-nihayat ka fasana yaad hai
company ka phir wo daur-e-mujrimana yaad hai
luTte phirte the jab tum karwan-dar-karwan
sar-barahna phir rahi thi daulat-e-hindostan
dast-karon ke anguThe kaTte phirte the tum
sard lashon se gaDhon ko paTte phirte the tum
sanat-e-hindostan par maut thi chhai hui
maut bhi kaisi tumhaare hat ki lai hui
allah allah kis qadar insaf ke talib ho aaj
mir-jafar ki qasam kya dushman-e-haq tha 'siraj'
kya awadh ki begamon ka bhi satana yaad hai
yaad hai jhansi ki rani ka zamana yaad hai
hijrat-e-sultan-e-dehli ka saman bhi yaad hai
sher-dil 'Tipu' ki KHunin dastan bhi yaad hai
tisare faqe mein ek girte hue ko thamne
kas ke tum lae the sar shah-e-zafar ke samne
yaad to hogi wo maTiya-burj ki bhi dastan
ab bhi jis ki KHak se uThta hai rah rah kar dhuan
tum ne qaisar-e-bagh ko dekha to hoga barha
aaj bhi aati hai jis se hae 'aKHtar' ki sada
sach kaho kya hafize mein hai wo zulm-e-be-panah
aaj tak ragoon mein ek qabr hai jis ki gawah
zehn mein hoga ye taza hindiyon ka dagh bhi
yaad to hoga tumhein jallianwala-bagh bhi
puchh lo is se tumhaara nam kyun tabinda hai
'dyer'-e-gurg-e-dahan-alud ab bhi zinda hai
wo 'bhagat-singh' ab bhi jis ke gham mein dil nashad hai
us ki gardan mein jo Dala tha wo phanda yaad hai
ahl-e-azadi raha karte the kis hanjar se
puchh lo ye qaid-KHanon ke dar-o-diwar se
ab bhi hai mahfuz jis par tantana sarkar ka
aaj bhi gunji hui hai jin mein koDon ki sada
aaj kashti amn ke amwaj par khete ho kyun
saKHt hairan hun ki ab tum dars-e-haq dete ho kyun
ahl-e-quwwat dam-e-haq mein to kabhi aate nahin
banki aKHlaq ko KHatre mein bhi late nahin
lekin aaj aKHlaq ki talqin farmate ho tum
ho na ho apne mein ab quwwat nahin pate ho tum
ahl-e-haq raushan-nazar hain ahl-e-baatin kor hain
ye to hain aqwal un qaumon ke jo kamzor hain
aaj shayad manzil-e-quwwat mein tum rahte nahin
jis ki laThi us ki bhains ab kis liye kahte nahin
kya kaha insaf hai insan ka farz-e-awwalin
kya fasad-o-zulm ka ab tum mein kas baqi nahin
der se baiThe ho naKHl-e-rasti ki chhanw mein
kya KHuda-na-karda kuchh moch aa gai hai panw mein
gunj Tapon ki na aabaadi na virane mein hai
KHair to hai asp-e-tazi kya shifa-KHane mein hai
aaj kal to har nazar mein rahm ka andaz hai
kuchh tabiat kya nasib-e-dushmanan na-saz hai
sans kya ukhDi ki haq ke nam par marne lage
nau-e-insan ki hawa-KHwahi ka dam bharne lage
zulm bhule ragni insaf ki gane lage
lag gai hai aag kya ghar mein ki chillane lage
mujrmon ke waste zeba nahin ye shor-o-shain
kal 'yazid' o 'shimr' the aur aaj bante ho 'husain'
KHair ai saudagaro ab hai to bas is baat mein
waqt ke farman ke aage jhuka do gardanen
ek kahani waqt likkhega nae mazmun ki
jis ki surKHi ko zarurat hai tumhaare KHun ki
waqt ka farman apna ruKH badal sakta nahin
maut Tal sakti hai ab farman Tal sakta nahin
(2165) Peoples Rate This