Albeli Subh
nazar jhukae urus-e-fitrat jabin se zulfen haTa rahi hai
sahar ka tara hai zalzale mein ufuq ki lau tharthara rahi hai
rawish rawish naghma-e-tarab hai chaman chaman jashn-e-rang-o-bu hai
tuyur shaKHon pe hain ghazal-KHwan kali kali gunguna rahi hai
sitara-e-subh ki rasili jhapakti aankhon mein hain fasane
nigar-e-mahtab ki nashili nigah jadu jaga rahi hai
tuyur bazm-e-sahar ke mutrib lachakti shaKHon pe ga rahe hain
nasim firdaus ki saheli gulon ko jhula jhula rahi hai
kali pe bele ki kis ada se paDa hai shabnam ka ek moti
nahin ye hire ki kil pahne koi pari muskura rahi hai
sahar ko madd-e-nazar hain kitni riayten chashm-e-KHun-fishan ki
hawa bayaban se aane wali lahu mein surKHi baDha rahi hai
shaluka pahne hue gulabi har ek subuk pankhuDi chaman mein
rangi hui surKH oDhni ka hawa mein pallu sukha rahi hai
falak pe is tarah chhup rahe hain hilal ke gird-o-pesh tare
ki jaise koi nai naweli jabin se afshan chhuDa rahi hai
khaTak ye kyun dil mein ho chali phir chaTakti kaliyo? zara Thaharna
hawa-e-gulshan ki narm ro mein ye kisi ki aawaz aa rahi hai?
(1155) Peoples Rate This