Ab Kya Karun
chha gai barsat ki pahli ghaTa ab kya karun
KHauf tha jis ka wo aa pahunchi bala ab kya karun
hijr ko bahla chali thi garm mausam ki sumum
na-gahan chalne lagi ThanDi hawa ab kya karun
aankh uThi hi thi ki abr-e-lala-gun ki chhanw mein
dard se kahne laga kuchh jhuTpuTa ab kya karun
ashk abhi thamne na pae the ki bedardi ke sath
bundiyon se bostan bajne laga ab kya karun
zaKHm ab bharne na pae the ki baadal charKH par
aa gaya angDaiyan leta hua ab kya karun
aa chuki thi nind si gham ko ki mausam na-gahan
bahr-o-bar mein karwaTen lene laga ab kya karun
charKH ki be-rangiyon se sust thi raftar-e-gham
yak-ba-yak har zarra gulshan ban gaya ab kya karun
qufl-e-bab-e-shauq thin mahaul ki KHamoshiyan
dafatan kafir papiha bol uTha ab kya karun
hijr ka sine mein kuchh kam ho chala tha pech-o-tab
baal bikhrane lagi kali ghaTa ab kya karun
aankh jhapkane lagi thi dil mein yaad-e-lahn-e-yaad
mor ki aane lagi ban se sada ab kya karun
ghaT chala tha gham ki rangin badliyon ki aaD se
un ka chehra samne aane laga ab kya karun
aa rahi hain abr se un ki sadaen 'josh' 'josh'
ai KHuda ab kya karun bar-e-KHuda ab kya karun
(1122) Peoples Rate This