Udhar Mazhab Idhar Insan Ki Fitrat Ka Taqaza Hai
udhar mazhab idhar insan ki fitrat ka taqaza hai
wo daman-e-mah-e-kanan hai ye dast-e-zuleKHa hai
idhar teri mashiyyat hai udhar hikmat rasulon ki
ilahi aadmi ke bab mein kya hukm hota hai
ye mana donon hi dhoke hain rindi ho ki darweshi
magar ye dekhna hai kaun sa rangin dhoka hai
khilauna to nihayat shoKH o rangin hai tamaddun ka
muarrif main bhi hun lekin khilauna phir khilauna hai
mere aage to ab kuchh din se har aansu mohabbat ka
kanar-e-ab-e-ruknabaad o gulgasht-e-musalla hai
mujhe malum hai jo kuchh tamanna hai rasulon ki
magar kya dar-haqiqat wo KHuda ki bhi tamanna hai
mashiyyat khelna zeba nahin meri basirat se
uTha le in khilaunon ko ye duniya hai wo uqba hai
(1443) Peoples Rate This