Tajrabe Ke Dasht Se Dil Ko Guzarne Ke Liye
tajrabe ke dasht se dil ko guzarne ke liye
roz ek surat nai hai ghaur karne ke liye
jab koi banta hai lakhon hastiyon ko meT kar
subh taron ko dabaati hai ubharne ke liye
hamil-e-asrar-e-fitrat hun gada bhi hun to kya
baat ye kafi hai mujh ko faKHr karne ke liye
ruh ko chamka KHudi ko toD kar zine bana
do ye tadbiren hain duniya mein ubharne ke liye
ghaur se dekha nizam-e-dahr to sabit hua
aadmi paida hua hai kaam karne ke liye
subh uTh kar aansuon se KHun ke rota hun main
dil ke naqshe mein wafa ka rang bharne ke liye
gauhar-e-maqsud KHud milta hai himmat shart hai
muztarib rahta hai har moti ubharne ke liye
aankh sharmai hui hai baal peshani pe hain
aaina-KHane mein jate hain sanwarne ke liye
kah do duniya ke hawadis se na chheDen is tarah
'josh' hum tayyar hi baiThe hain marne ke liye
(1480) Peoples Rate This