Subu UTha Ki Faza Sim-e-KHam Hai Saqi
subu uTha ki faza sim-e-KHam hai saqi
faraaz-e-koh pe mah-e-tamam hai saqi
chune hue hain piyale jhuki hui botal
naya quud nirala qayam hai saqi
ba-naz-e-mughbachagan o ba-faiz-e-nara-e-hu
huma-e-arz-o-sama zer-e-dam hai saqi
faza pe nahr-e-pur-afshan-e-tab hur o tuhur
ghina mein shahr-e-qasur-o-KHayam hai saqi
ye kaun shahid-e-masti-farosh o naghma-nawaz
nafas ke tar pe garm-e-KHiram hai saqi
na ism o jism na harf o nafas na saya o naql
ye kya tilism ye kaisa maqam hai saqi
ruke na daur ki ab tak ba-zer-e-charKH-e-kabud
riya halal hai sahba haram hai saqi
ba-nam-e-adam-o-hawwa pila ki garm-e-surud
nasim-e-roza-e-darus-salam hai saqi
subu-e-qila-shikan ki sipar inayat kar
ki tegh-e-daur-e-zaman be-niyam hai saqi
agar ghiza-e-KHayal-o-nazar se hai mahrum
hayat-e-zehn ka mah-e-siyam hai saqi
tamam daulat-e-duniya-o-din pe bhaari hai
wo dil jo basta-e-hubb-e-anam hai saqi
ajab nahin ki tujhe bhi pasand aae ye qaul
jhuke na dil to ibaadat haram hai saqi
sifat o zat ke aiwan-e-ruh-parwar tak
subu se fasala-e-nim-gam hai saqi
(951) Peoples Rate This