Sarshaar Hun Sarshaar Hai Duniya Mere Aage
sarshaar hun sarshaar hai duniya mere aage
kaunain hai ek larzish-e-sahba mere aage
har najm hai ek aariz-e-raushan mere nazdik
har zarra hai ek dida-e-bina mere aage
har jam hai nazzara-e-kausar mere haq mein
har gam hai gulgasht-e-musalla mere aage
har phul hai lal-e-shakar-afshan ki hikayat
har ghuncha hai ek harf-e-tamanna mere aage
ek mazhaka hai pursish-e-uqba mere nazdik
ek wahm hai andesha-e-farda mere aage
hon kitni hi tarik shab-e-zist ki rahen
ek nur sa rahta hai jhalakta mere aage
main aur Darun saulat-e-duniya-e-dani se
KHud larza-bar-andam hai duniya mere aage
jhukta hai ba-sad ijz kalisa mere dar par
aata hai larazta hua kaba mere aage
paimane se jis waqt chhalak jati hai sahba
lahraata hai ek husn ka dariya mere aage
jab chand jhamakta hai mere saghar-e-zar mein
chalta nahin KHurshid ka dawa mere aage
jab jhum ke mina ko uThata hun ghaTa mein
hilta hai sar-e-gumbad-e-mina mere aage
aati hai dulhan ban ke mashiyyat ki jilau mein
aawargri-e-adam-o-hawwa mere aage
paimane pe jis waqt jhukata hun surahi
jhukta hai sar-e-alam-e-baala mere aage
pahlu mein hai ek zohra-jabin hath mein saghar
is waqt na duniya hai na uqba mere aage
'josh' uThti hai dushman ki nazar jab meri jaanib
khulta hai mohabbat ka daricha mere aage
(940) Peoples Rate This