Phir Sar Kisi Ke Dar Pe Jhukae Hue Hain Hum
phir sar kisi ke dar pe jhukae hue hain hum
parde phir aasman ke uThae hue hain hum
chhai hui hai ishq ki phir dil pe be-KHudi
phir zindagi ko hosh mein lae hue hain hum
jis ka har ek juzw hai iksir-e-zindagi
phir KHak mein wo jins milae hue hain hum
han kaun puchhta hai KHushi ka nahufta raaz
phir gham ka bar dil pe uThae hue hain hum
han kaun dars-e-ishq-e-junun ka hai KHwast-gar
aae ki har sabaq ko bhulae hue hain hum
aae jise ho jada-e-rifat ki aarzu
phir sar kisi ke dar pe jhukae hue hain hum
baiat ko aae jis ko ho tahqiq ka KHayal
kaun-o-makan ke raaz ko pae hue hain hum
hasti ke dam-e-saKHt se ukta gaya hai kaun
kah do ki phir giraft mein aae hue hain hum
han kis ke pa-e-dil mein hai zanjir-e-ab-o-gil
kah do ki dam-e-zulf mein aae hue hain hum
han kis ko justuju hai nasim-e-faragh ki
aasudgi ko aag lagae hue hain hum
han kis ko sair-e-arz-o-sama ka hai ishtiyaq
dhuni phir us gali mein ramae hue hain hum
jis par nisar kaun-o-makan ki haqiqaten
phir 'josh' us fareb mein aae hue hain hum
(1583) Peoples Rate This