Phir Aashna-e-lazzat-e-dard-e-jigar Hain Hum
phir aashna-e-lazzat-e-dard-e-jigar hain hum
phir mahram-e-kashakash-e-har-KHair-o-shar hain hum
har sans de rahi hai KHabar kaenat ki
phir baada-e-jamal se yun be-KHabar hain hum
phir ishq ki nazar mein hai mashuqiyat ka naz
phir husn-e-dil-nawaz se shir-o-shakar hain hum
jine ke ishtiyaq se hai phir ramidgi
phir sina-e-hayat mein azm-e-safar hain hum
hoshyar-bash zulmat-e-gham-KHana-e-hayat
phir markaz-e-tajalli-e-shams-o-qamar hain hum
kis zom mein hai ai shab-e-daijur-e-zindagi
phir raazdar-e-nur-e-tulu-e-sahar hain hum
hai kis KHayal-e-KHam mein ai KHarzar-e-dahr
phir kaamran-e-KHanda-e-gul-ha-e-tar hain hum
phir zindagi hai gham ki amanat liye hue
har daulat-e-nashat se phir bahra-war hain hum
phir faiz-e-ashiqi se ba-in be-bazaati
jeb-e-jahan mein daulat-e-lal-o-guhar hain hum
phir bawajud-e-faqr wo hasil hai tumtaraq
tu ye kahe ki sahib-e-taj-o-kamar hain hum
aankhon mein nur-e-mushaf-e-jaanan liye hue
phir kardgar-e-ishq ke paigham-bar hain hum
khulte nahin hain 'josh' dimaghon pe dil ke raaz
baala-tar az rasai-e-naqd-o-nazar hain hum
(1072) Peoples Rate This