Numayan Muntaha-e-sai-e-paiham Hoti Jati Hai
numayan muntaha-e-sai-e-paiham hoti jati hai
tabiat be-niyaz-e-har-do-alam hoti jati hai
uThi jati hai dil se haibat-e-alam-e-ruhani
jarahat bahr-e-qalb-e-zar marham hoti jati hai
kinara kar raha hai ruh se haijaan-e-sartabi
ki gardan justuju ke shauq mein KHam hoti jati hai
junun ka chha raha hai zindagi par ek dhundalka sa
KHirad ki raushni sine mein maddham hoti jati hai
nasim-e-be-niyazi aa rahi hai baam-e-gardun se
urus-e-muddaa ki zulf barham hoti jati hai
numayan ho chala hai ek jahan chashm-e-tasawwur par
nazar shayad harif-e-saghar-e-jam hoti jati hai
girah yun khul rahi hai har nafas zauq-e-tamasha ki
ki har adna si shai ab ek aalam hoti jati hai
faza mein kanpti hain dhundli dhundli nuqrai shaklen
har ek taKHil-e-pakiza mujassam hoti jati hai
na jaane sina-e-ehsas par ye hat hai kis ka
tabiat be-niyaz-e-shadi-o-gham hoti jati hai
samajh mein aaen kya barikiyan qanun-e-qudrat ki
ibaadat kasrat-e-mani se mubham hoti jati hai
KHajil tha jis ki shorish se talatum bahr-e-hasti ka
mere dil mein wo halchal 'josh' ab kam hoti jati hai
(930) Peoples Rate This