Mila Jo Mauqa To Rok Dunga Jalal Roz-e-hisab Tera
mila jo mauqa to rok dunga 'jalal' roz-e-hisab tera
paDhunga rahmat ka wo qasida ki hans paDega itab tera
yahi to hain do sutun-e-mahkam inhin pe qaim hai nazm-e-alam
yahi to hai raaz-e-KHuld-o-adam nigah meri shabab tera
saba tasadduq tere nafas par chaman tere pairahan pe qurban
nasim-e-doshizgi mein kaisa basa hua hai shabab tera
tamam mahfil ke ru-ba-ru go uThain nazren milain aankhen
samajh saka ek bhi na lekin sawal mera jawab tera
hazar shaKHen ada se lachkin hua na tera sa loch paida
shafaq ne kitne hi rang badle mila na rang-e-shabab tera
idhar mera dil taDap raha hai teri jawani ki justuju mein
udhar mere dil ki aarzu mein machal raha hai shabab tera
karegi donon ka chaak parda rahega donon ko kar ke ruswa
ye shorish-e-zauq-e-did meri ye ehtimam-e-hijab tera
jaDen pahaDon ki TuT jatin falak to kya arsh kanp uThta
agar main dil par na rok leta tamam zor-e-shabab tera
bhala hua 'josh' ne haTaya nigah ka chashm-e-tar se parda
bala se jati rahen gar aankhen khula to band-e-naqab tera
(1129) Peoples Rate This