Meri Haalat Dekhiye Aur Unki Surat Dekhiye
meri haalat dekhiye aur un ki surat dekhiye
phir nigah-e-ghaur se qanun-e-qudrat dekhiye
sair-e-mahtab-o-kawakib se tabassum ta-bake
ro rahi hai wo kisi ki sham-e-turbat dekhiye
aap ek jalwa sarasar main sarapa ek nazar
apni hajat dekhiye meri zarurat dekhiye
apne saman-e-tayyush se agar fursat mile
bekason ka bhi kabhi tarz-e-maishat dekhiye
muskura kar is tarah aaya na kije samne
kis qadar kamzor hun main meri surat dekhiye
aap ko laya hun viranon mein ibrat ke liye
hazrat-e-dil dekhiye apni haqiqat dekhiye
sirf itne ke liye aankhen hamein baKHshi gain
dekhiye duniya ke manzar aur ba-ibrat dekhiye
maut bhi aai to chehre par tabassum hi raha
zabt par hai kis qadar hum ko bhi qudrat dekhiye
ye bhi koi baat hai har waqt daulat ka KHayal
aadmi hain aap agar to aadmiyat dekhiye
phuT niklega jabin se ek chashma husn ka
subh uTh kar KHanda-e-saman-e-qudrat dekhiye
rashha-e-shabnam bahaar-e-gul farogh-e-mehr-o-mah
wah kya ashaar hain diwan-e-fitrat dekhiye
is se baDh kar aur ibrat ka sabaq mumkin nahin
jo nashat-e-zindagi the un ki turbat dekhiye
thi KHata un ki magar jab aa gae wo samne
jhuk gain meri hi aankhen rasm-e-ulfat dekhiye
KHush-numa ya bad-numa ho dahr ki har chiz mein
'josh' ki taKHil kahti hai ki nudrat dekhiye
(977) Peoples Rate This