Ji Mein Aata Hai Ki Phir Mizhgan Ko Barham Kijiye
ji mein aata hai ki phir mizhgan ko barham kijiye
kasa-e-dil le ke phir daryuza-e-gham kijiye
gunjta tha jis se koh-e-be-sutun o dasht-e-najd
gosh-e-jaan ko phir unhin nalon ka mahram kijiye
husn-e-be-parwa ko de kar dawat-e-lutf-o-karam
ishq ke zer-e-nagin phir har do aalam kijiye
daur-e-peshin ki tarah phir Daliye sine mein zaKHm
zaKHm ki lazzat se phir tayyar marham kijiye
subh se ta sham rahiye qissa-e-ariz mein gum
sham se ta subh zikr-e-zulf-e-barham kijiye
din ke hangamon ko kijiye dil ke sannaTe mein gharq
raat ki KHamoshiyon ko waqf-e-matam kijiye
daimi aalam ka KHugar bana kar ruh ko
na-gahani hadson ki gardanen KHam kijiye
ghaiz ki dauDi hui hai lahar si asnam mein
'josh' ab ahl-e-haram se dosti kam kijiye
(957) Peoples Rate This