Is Baat Ki Nahin Hai Koi Intiha Na Puchh
is baat ki nahin hai koi intiha na puchh
ai muddaa-e-KHalq mera muddaa na puchh
kya kah ke phul banti hain kaliyan gulab ki
ye raaz mujh se bulbul-e-shirin-nawa na puchh
jitne gada-nawaz the kab ke guzar chuke
ab kyun bichhae baiThe hain hum boriya na puchh
pesh-e-nazar hai past-o-buland-e-rah-e-junun
hum be-KHudon se qissa-e-arz-o-sama na puchh
sumbul se wasta na chaman se munasibat
is zulf-e-mushk-bar ka haal ai saba na puchh
sad mahfil-e-nashat hai ek sher-e-dil-nashin
is barbat-e-suKHan mein hai kis ki sada na puchh
kar rahm mere jeb o gareban pe ham-nafas
chalti hai ku-e-yar mein kyunkar hawa na puchh
rahta nahin hai dahr mein jab koi aasra
us waqt aadmi pe guzarti hai kya na puchh
har sans mein hai chashma-e-haiwan-o-salsabil
phir bhi main tishna-kaam hun ye majra na puchh
banda tere wajud ka munkir nahin magar
duniya ne kya diye hain sabaq ai KHuda na puchh
kyun 'josh' raaz-e-dost ki karta hai justuju
kah do koi ki shah ka haal ai gada na puchh
(1024) Peoples Rate This