Hairat Hai Aah-e-subh Ko Sari Faza Sune
hairat hai aah-e-subh ko sari faza sune
lekin zamin pe but na falak par KHuda sune
fariyaad-e-andalib se kanpe tamam bagh
lekin na gul na ghuncha na baad-e-saba sune
KHud apni hi sadaon se gunje hue hain kan
koi kisi ki baat sune bhi to kya sune
ye bhi ajab tilism hai ai shorish-e-hayat
dard-ashna ki baat na dard-ashna sune
shahon ke dil to sang hain shahon ka zikr kya
ye bhi nahin ki haal gada ka gada sune
aalam hai ye ki gosh-e-bashar tak hai be-niyaz
hona tha ye ki banda kahe aur KHuda sune
sunte bhi hain jo log to yun dastan-e-gham
jaise yazid saneha-e-karbala sune
han ai KHuda-e-arsh-e-barin o butan-e-farsh
tum mein se ho koi to mera majra sune
pashmina-posh rah-nashinon ki iltija
shayad kabhi wo shahid-e-atlash-qaba sune
hum nadir o yazid na hajjaj hain na shimr
allah aur 'josh' hamari dua sune
(994) Peoples Rate This