Gudaz-e-dil Se Baatin Ka Tajalli-zar Ho Jaana
gudaz-e-dil se baatin ka tajalli-zar ho jaana
mohabbat asl mein hai ruh ka bedar ho jaana
nawed-e-aish se ai dil zara hushyar ho jaana
kisi taza musibat ke liye tayyar ho jaana
wo un ke dil mein shauq-e-KHud-numai ka KHayal aana
wo har shai ka tabassum ke liye tayyar ho jaana
mizaj-e-husn ko ab bhi na samjho to qayamat hai
hamara aur wafa ke nam se be-zar ho jaana
sahar ka is tarah angDai lena dil-farebi se
udhar shair ke mahsusat ka bedar ho jaana
tawassul se tere dil mein bharunga quwwaten barqi
zara meri taraf bhi ai nigah-e-yar ho jaana
wo aaraish mein sab quwwat kisi ka sarf kar dena
tahammul mein wo har koshish meri bekar ho jaana
maaz-allah ab ye rang hai duniya ki mahfil ka
KHuda ka nam lena aur zalil o KHwar ho jaana
ragon se KHun sara zahr ban kar phuT niklega
zara ai 'josh' zabt-e-shauq se hushyar ho jaana
(985) Peoples Rate This