Fikr Hi Thahri To Dil Ko Fikr-e-KHuban Kyun Na Ho
fikr hi Thahri to dil ko fikr-e-KHuban kyun na ho
KHak hona hai to KHak-e-ku-e-jaanan kyun na ho
dahr mein ai KHwaja Thahri jab asiri na-guzir
dil asir-e-halqa-e-gesu-e-pechan kyun na ho
zist hai jab mustaqil aawaragardi hi ka nam
aql walo phir tawaf-e-ku-e-jaanan kyun na ho
jab nahin masturiyon mein bhi gunahon se najat
dil khule bandon ghariq-e-bahr-e-isyan kyun na ho
ek na ek hangame par mauquf hai jab zindagi
mai-kade mein rind raqsan o ghazal-KHwan kyun na ho
jab KHush o na-KHush kisi ke hath mein dena hai hath
ham-nashin phir baiat-e-jam-e-zar-afshan kyun na ho
jab bashar ki dastaras se dur hai hablul-matin
dasht-e-wahshat mein phir ek kafir ka daman kyun na ho
ek hai jab shor-e-jahl o bang-e-hikmat ka maal
dil halak-e-zauq-e-gulbang-e-pareshan kyun na ho
ek na ek rifat ke aage sajda lazim hai to phir
aadmi mahw-e-sujud-e-sarw-e-KHuban kyun na ho
ek na ek phande hi mein phansna hai jab insan ko
dosh par dam-e-siyah-e-sumbulistan kyun na ho
jab farebon mein hi rahna hai to ai ahl-e-KHirad
lazzat-e-paiman bar-e-sust-paiman kyun na ho
yan jab aawezish hi Thahri hai to zarre chhoD kar
aadmi KHurshid se dast-o-gareban kyun na ho
ek na ek zulmat se jab wabasta rahna hai to 'josh'
zindagi par saya-e-zulf-e-pareshan kyun na ho
(1028) Peoples Rate This