Dosto Waqt Hai Phir ZaKHm-e-jigar Taza Karen
dosto waqt hai phir zaKHm-e-jigar taza karen
parda jumbish mein hai phir aao nazar taza karen
ta-kuja nala-e-ghurbat ki chali baad-e-shimal
dil mein phir zamzama-e-azm-e-safar taza karen
aao phir dhum se ho aaj ghurub aur tulu
sunnat-e-bandagi-e-shams-o-qamar taza karen
aao chal kar ruKH-e-na-shusta ko dekhen dam-e-subh
mauj-e-rang-e-ufuq o nur-e-sahar taza karen
kulah-e-faqr ko kaj kar ke sar-e-bazm-e-nashat
aao rasm-e-kohn-e-taj-o-kamar taza karen
aao phir jalwa-e-jaanan pe luTa den kaunain
shughl-e-parina-e-arbab-e-nazar taza karen
tabaq-e-zar mein laga kar pa-e-nazar-e-jaanan
aao phir aabru-e-lal-o-guhar taza karen
aao phir 'josh' ko de kar laqab-e-shah-e-suKHan
dil-o-din-e-suKHan o jaan-e-hunar taza karen
(1045) Peoples Rate This