Apne Mein Jo Ab Bhule Se Kabhi Rahat Ka Taqaza Pata Hai
apne mein jo ab bhule se kabhi rahat ka taqaza pata hai
haalat pe mere kar ke nazar dil mujh se bahut sharmata hai
uljhan mein yakayak hoti hai dam rukta hai dil bhar aata hai
jab koi tasalli deta hai kuchh aur bhi ji ghabraata hai
aaram sarakne wala hai kis shai pe ye gharra hai tujh ko
duniya ye badalne wali hai kis chiz pe tu itraata hai
elan sahar ko hota hai yun husn ki shahanshahi ka
gardun pe sunahra ek parcham mashriq ki taraf lahraata hai
andaz-o-ada se ai duniya tu lakh sanwar kar samne aa
ye 'josh' faqir aazad-manash jab dhyan mein tujh ko lata hai
(908) Peoples Rate This