Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c37bdcf0abbe12252d3c636cf7369ed2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aish Ki Jaanib Jo Mail Kuchh Tabiat Ho Gai - Josh Malihabadi Poetry In English - Darsaal

Aish Ki Jaanib Jo Mail Kuchh Tabiat Ho Gai

aish ki jaanib jo mail kuchh tabiat ho gai

dil pe ghussa aa gaya apne se nafrat ho gai

mujh ko KHud apni tabahi par taras aata nahin

KHugar-e-gham is qadar ab to tabiat ho gai

aai jab stage par duniya to dil KHush ho gaya

jab uTha anjam ka parda to nafrat ho gai

aa gain jumbish mein taslim-o-raza ki quwwaten

lab mile hi the pae shikwa ki aafat ho gai

istilah-e-bandagi mein ruh hain taron ki 'josh'

chand zarre jin se peshani ki zinat ho gai

(922) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aish Ki Jaanib Jo Mail Kuchh Tabiat Ho Gai In English By Famous Poet Josh Malihabadi. Aish Ki Jaanib Jo Mail Kuchh Tabiat Ho Gai is written by Josh Malihabadi. Read famous Poem Aish Ki Jaanib Jo Mail Kuchh Tabiat Ho Gai for youth and Student by Josh Malihabadi. Free Download Aish Ki Jaanib Jo Mail Kuchh Tabiat Ho Gai in PDF.